Hey Dosto Aaj mai aap logo ko ek aise book ke baare me batane wala hu jo aapki puri personality badal kar rakh dene ki takat rakhti hai aur jaha tak mujhe lagta hai ki ham ek culchural Society me rahte hai to hame kis tarah se baat karna chahiye ya yadi kisi se koi kaam karwana hai to kis technich se kahe ki vah apne aap khusi – khusi vah kaam kar de kyoki jab koi vyakti aapka kaam khusi – khusi karta hai to ek to use khusi bhi milti hai aur wo aapka kaam bhi achhe se karta hai. to chaliye suru karte hai.
darasal Isame iss baat par jyada jor diya gaya hai ki kis tarah aap kam bol kar adhik impressive ban sakte hai aur isame aap kafi kuchh seekhate bhi hai. Kyoki aap kam bolne ke condition me adhik sunte hai.
Ha agar aap ise padhana chahte hai to bahut se log ise pahle internet par search karte hai ki yah Free Hindi Pdf me mil jaye lekin aisa hai nahi Hindi Pdf me to Mil jayega lekin Free nahi Kyoki ye royalti books hai jisko aapko padhane ke liye kuchh pay karna padega to aap apna samay nast na kare Free Hindi PDF Khoj kar.
Lekin aap is samay whitehindi.com par hai jaha aapko har book ki aisi short me information di jaati hai ki yadi koi person kisi vajah se us book ko nahi padh pata to wo kam se kam book kya hai kaun si technic hai ye to jan hi jaye.
To agar aap iss book ko padhana chahte hai to yah aapko railway station par book store par mil jayegi aap vaha se kharid sakte hai ya fir online bhi kharid sakte hai dono hi methode se aap kharid sakte hai chaliye ab mai iss book se Dale Carnegie Jo ki iske writer hai unhi ka ek kissa batata hu.
Ek Dale Carnegie ne apna ek seminar karne ke liye hotel book kiya jaha 5000 se bhi jyada log aane wale the tabhi do din pahle hotel ke maneger ka phone aata hai Dale Carnegie ke paas ki sorry sir aapko hame doguna paisa dena padega nahi to aap kahi aur dekh le. Dale Carnegie jhatka laga ki ye kya do hi din bache hai seminar ko aur hotel manager kah raha hai ki iske liye aapko doguna paisa dena hoga nahi to kahi aur dekh lijiye.
Ab aap soche koi aur hota to kya karta pahle to phone par hi ya us manager ke paas jakar chillata ki yah tum kaise kar sakte ho ye to dhoka hai ya tu aisa nahi kar sakte lekin jahir si baat hai ki koi itna kar dene se apna desision nahi badlega aur balki aap usko khari khoti suna denge to aur hi nahi karega.
Lekin Dale Carnegie ne aisa nahi kiya unhone kuchh der socha aur dusare din usase milne gaye aur ek kagaj liya aur do list banayi aur us manager ko bas itna bataya ki dekhiye agar aap hamse dogune payment ki ummid karenge to mai aapko itna nahi de pahunga majburan mujhe kahi aur dekhna padega aur aapko bhi kuchh nahi milega jabki agar aap man jate hai to ek to aap ko iske paise to milenge hi sath hi jo aap hajari dollar advertisement par kharch karte hai vah yahi free me hi ho jayega kyoki mere seminar me 5000 se bhi jyada log aa rahe gaye.
To ab aap khud soch kar bataye ki kya aapko vakyi ammount doguna klarna chahiye aap thoda der soch kar bataye aur manager iss bat ko samajh jata hai ki mai kitna galat kar raha tha aur apne costomer se relation bhi kharab kar raha tha to usane kaha ki thik hai mai doguna to nahi lekin kuchh paise extra to lunga hi.
To ab dale carnegie ko fir se sabhi ko alag address par bulana aur unhe bhi dikkat dena aur fir ho sakta hai usase bhi mahnga mile to unhe thode adhik paise dene me koi aaptti nahi hui aur unhone apni baat manwa hi lee.
To aapko iss book me issi tarah ke trick milenge ki kis tarah aap apne life me aane wali samasyawo se aasani se paar pa sakte hai.
To aapko yah article kaisa laga hame comment karke jarur bataye aur agar yah book padhi hai ya jante hai iske baare me to comment me apne vichar bataye aur isse apne dosto ke saath social site par share karna na bhule.